Saturday 19 March 2016

Gharelu Nuskhe or Upchar in Hindi for Oily Skin


#gharelu nuskhe for face beautyGharelu Nuskhe or Upchar in Hindi for Oily Skin. Sadharan roop se tvacha mein oil glands hai jiska kaam hai oil generate kar ke skin ko moisturize rakhe. Chehre par kai logo ko yehsebacious glands jyaada hote hai ya to kaam jyaada karte hai. Is ke karan chehra oily dikhta hai. Ek fayda hai ki old age mein bhi in logo ka skin mein jaldi se wrinkles nahin aatehai magar aaj, aapke jawani mein, yeh excess oil blackheads ka karan bante hai aur appearance bigadte hai. Sadiyo se dadi ma ke paas is prakar ke uljhan ko suljhana chutki bajane ka kaam hai.

Ghar mein upasthit cheezo ka istemal kare aur apnaayedadi maa ke gharelu nuskhe or upchar for oily skin.Chehra taro ki tarah chamkega magar oily nahin hoga. Blackheads ki sambhavna bhi kam hai kyonki skin ke pores block nahin honge to blackheads honge kaise?You may find this intresting : Chehra chamkane ke gharelunuskhePimples Ke Liye Gharelu Nuskhe30 minuts me face ka rang gora karne ka raazFace ko sundar kaise banayein hindi

1. Khurak yaane dietPet saaf rakhe, fried foods kam kare aur diet mein oil bhi jyaada use na kare. Pet saaf rakhe aur khaas karke liver ke liye tonic jaise ke Liv 52 ka upyog kare kyonki liver healthy ho to body mein fats ko achi tarah se process karega. Health achcha ho to endocrine system balance hoga aursebaceous glands overdrive mein nahin jaayenge.

2. Juices ka lepPineapple ka juice, nimbu ka juice (nimbu ka juice ke fayde), tamatar ka juice, kakdi ka juice, gajar ka juice, muli ka juice, doodhi ka juice aur gavarpatha ka juice chehre par laga ke ek ghante tak rehne de aur phir do de.  Juice peene ki aadat dale to aur bhi achcha. Beetroot yane ki chukander ko na bhoole, yeh hai bade kam ki cheez. Ho sake toamla ka juice ka bhi prayog karepeene ke liye aur chehre par lagane ke liye. . Chehre ka tvacha rahega hamesha wrinkle-free auroil free.

3. Pattiyo ka pasteAam ke patte, jamun ke patte, peepal ke patte, bargad ke patte…yeh sabhiastringent hai. Jo haath mein aaye uska paste bana le aur chehre par mal de. Pudina ka patta aur hare dhaniya ka paste bhi faydemand hai oilyskin ke liye.Agar chehre par muhase nikal aayehai to phir neem ke patteka paste ka istemal kare. Nimbu ke ras se massage kare aur kuch samay baad dho lein.Aloe-vera ke ras me haldi mila ker lagane se oily skin mein farak dikhega.Multani mitti aur gulab jal mila kar lep kare aur sookh jane per dho lein.Nariyal ke doodh mein nimbu ka ras mila kar lgayen aur thande pani se dho lein.Roz subah gajar ka ras pine se oily skin mein farak aata hai.Jamun ki patti pees kar shahad mein mila kar facepack banakaroily skinpar lagaye.Banana me shahad aur haldi mila kar face scrub kare, skin oil kam hojayega.Dry fruit khana chahiye.Orange juice mein shahad mila karoily skinpar lagaye.Akhrot ko doodh me pees kar chehre par lagaye.Besan me nimbu ka ras mila kar face pack banayen, is facepack ko lagane seoily skinmein farak dikhega.Pyaz ke ras mein aloe-vera mila kar face par lagaye.Roz subah 2 tbsp amle ka ras pani ke sath lein.1 chamach santare ke chilko ka powder, 2 chamach besan aur 1 chamach gajar ka ras mila kar lagayen aur kuch der baad dho lein.Angoor ke juice pina chahiye.

No comments:

Post a Comment

Ladka ladki funny joke

लड़का (लड़की से) : तुम्हारी शर्ट फटी हुई है… लड़की : तुम नहीं समझोगे… ये आजकल का फैशन है… लड़का : क्या यार ! साला तुम फाड़ो तो फैशन और हम...