Zindagi mein jise aap dil se chaho aisa insaan badi mushkil se milta hai. Ek aisi hi chahat ki kahaani is heart touching love story mein aapke liye. Par afsos is bat ka hai friends ki ye ek sad love story hi ban ke rah gayi jabki na to kisi ne cheat kiya aur na hi kisi ne kisi ka heart break kiya.Seema jab Delhi University mein padhne ke liye aayi to use hostel nahin mila. Kyunki us ke parents well off the to usne apne liye ek Flat Kiraye par le liya. Vah jis flat mein rahti thi uske barabar k flat mein ek ladk rahta tha jiska nam tha Mukesh. Seema jab bhi balcony mein aati to dekhati ki Mukesh apni balcony mein khada samne park mein dekh raha hai. Shuru shuru mein to donon mein koi bat nahi hoti thi kyunki seema bahut hi shy ladki thi. Vaise seema thi to bahut khoobsurat alekin bahut shy hone ki vajah se uska koi boygriend nahin ban paya tha.Fir slowly donon mein baten shuru ho gai. Jab baton ka silsila aage badhato seema ko pata chalaa ki Mukesh bada hi nice aur achchha ladka hai. Jaldi hi donon ki dosti badh gayi aur vo aksar balcony mein aakar baten karte rahte.Dheere dheere seema ko laga ki vo mukesh se pyaar karne lagi hai. Vo tha hi itna hansmukh aur achchhi nature ka ki koi bhi ladki use pyaar karti. Lekin seema use apne dil ki bat kahne ki himmat nahi juta pati thi.Ek din aise hio barish ho rahi thi aur dono balcony mein khade bat kar rahethe. Achanak seema ke munh se nikla kit um mujhe koi movie kab dikhane le jaoge? Aur ye kahte hi seema Sharma gai kyunki movie to kya, vo donon kabhi kisi restaurant mein chai bhi peene nahin gaye the. Lekin mukesh ne hans ke kaha, tum jab chaho tab chalet hain.Seema ke andar to khushi ka samnadr ufaan marne laga. Lekin ye khushi agle din hi khatm ho gai jab mukesh ne use bataya ki vo uske sath nahi ja sakta kyunki uski ek ladki se sagai ho chuki hai yani engagement. Ye aur bat hai ki unka rishta aage nahin badh pa raha kyunki ladki ne use shadi se manaa kar diya hai.Seema ko bura bhi laga aur khushi bhi hui. Bura isliye ki itne achche ladke ko koi kaise mana kar sakta hai aur khushi isliye ki use kaga aaj nahi to kal, shayad mukesh uskee chahat ko pahchane aur uske sath dosti ko pyaar mein badal le.Khair, ye ummeed use laga ki shayad kabhi sach nahin hogi kyunki 6 months beet gaye lekin jab bhi seema use apna vada pura karne ko kahti vo kahta kuchh aur vaqt do, abhi main aage badhne ko taiyyar nahi hun.
Aise hi 1 sal beet gaya. Aakhir seema ko laga ki shayad kabhi bhi uski chahat apne anjaam tak nahin pahunch payegi aur use kisi aur achchhe ladke ki talaash karni chahiye jise vo apna boy friend bana sake. Ab to usne mukesh ko movie ke liye kahna bhi kam kar diya tha.Aur fir aise hi ek din jab vo balcony se apne flat mein gai to uske mobile peek message aaya – mujhe laga tha kit um thak kar mera sath chhod dogi lekin nahin, ab lagtaa hai ki shayad tum mera sath kabhi nahin chhodogi. Ham kal hi sath sath movie dekhane jayenge, agar tumhen ab bhi manjoor ho to.Ye padh kar seema khushi se nach uthi. Vo bahg ke balcony pe aayi to dekha mukesh vahan khada uska jaise intzaar kar raha ho. Usne muskate hue kaha ki kal ki date pakki? Seema ne laha – haan, haan, pakki. Is din ka to mujhe kab se intzaar tha.Agle din jab seema college se vapas aai to use mukesh ki bike nahi dikhai di. Use kuchh ajeeb to laga lekin usne dhyaan nahi diya. Uska dhyaan to aaj ki date pet ha. Aakhir uske ek sal se bhi jyada purani chahat aaj parwaan chadhne vali thi aur vo apne pyaar ko pane vali thi. Vo taiyaar ho kar jaise hi balcony pe aai ki shayad mukesh aa gaya ho. Lekin tabhi uske flat ki ghanti baji. Vo bahar gai to dekha ki mukesh ka ek dost bahar khadatha. Usne kaha, jaldi bike pe baitho aur chalo, mukesh ka accident ho gayahai.Seema to jaise sann rah gayi. Use pata bhi nahi chala ki kab vo hospital pahumchi aur kab vo mukesh ke pas pahunchi. Par der ho chuki thi. Mukesh uske aane se pahle hi dam tod chukka tha. Jiska intzaar seema ne ek sal se bhi jyaadaa kiya, usne seema ka ek ghante bhi intzaar nahi kiya.Jab agle din antim sanskaar ke bad sab log vapas aaye to mukesh ki momseema ke pas aai. Unhone seema ko ek letter diya. Letter mukesh ne apni mom ko likha tha. Mom, mujhe ek aisi ladki mil gai hai jo kabhi mujhe chhod kar nahin jayegi. Main usi se pyaar karta hun aur usi se shadi karunga…Seema ki aankhen aansuon se bhar aai.Sach hai doston, kuchh love stories banti hi isliye hain ki vo sad love story kahlayen varna pyaar ki to unmein koi kami nahi hoti.
No comments:
Post a Comment