Saturday 19 March 2016

Badaam Khane Ke Fayde or Isse Hone Wale Benefits Ke Baare Mai Jaane

#badam ke fayde in hindi#badam khane ke fayde#benefit of badam in hindi#badam ke labh #badam ke faide#almonds benefitsBadam ya almondek atyant gunkari cheez hai jiska hamesha upyog karna sharir aur dimag ke liye labhkari hai. Badam mein hai shamil Vitamin B, Vitamin E, calcium, iron, magnesium, phosphorus, potassium, zinc aur manganese. Iske alava badam mein aise fats hai jo cholesterol kam karte hai.

Badam mein beta sitosterol, stigmasterol, campesterol jaise phytosterols hai jo LDL yaane bad cholesterol kam kar dete hai. Har roj thode se badam avashya khaye taaki aap kobadam khane ke faydemile. Yeh fayde is prakar hai. Badam aap aise hi, upar ke chilke ke saath khaaye. Isko bhigo kar bhi khaa sakte hai magar chilka mat nikaliye. Bhigoker ise pees le aur doodh mein milake sevan kare to aur bhi gunkari hai. Badam ki khasiyat yeh hai ki yeh taste mein neutral hai. Chocolate ke saath khaye aur enjoy kare. Halwa mein dale to halwa aur tasty lagega. Rasoi mein badam ka paste ka gravy banaye to shahi korma taiyar hoga.

1. Dimag tej banayeStudents, gharelu aurat aur mardo kobadam is liye khana chahiyekyon ki yeh ek uttam brain tonic hai. Dimag ke liye badam mein shamil fat, potassium aur protein madad roop sabit hote hai.

2. Vajan kam kareLog yeh kahenge ki badam mein fat hai to us se vajan badhega magar badam mein rahit fats aur protein bhookh kam kar dete hai aurmotapa bhi kam ho jata hai.Badam ke labhaur bhi hai jaise ki aap ka cholesterol level niyantran mein rahega.

3. Diabetics ke liye uttamMadhumeh mein badam badhiya energy source hai aur saath saath blood sugar ko bhi niyantrit karta hai.Badam diabetics ke liye bahut hi helpful haikyonki yeh glucose level badhne se rokta hai, yahan tak ki shakkar vale mithai bhi agar khaya ho to badam khane se viprit asar nahihoga.

4. HeartBadam health benefitsmein ek hai ki yeh dil ko majboot bana deta hai aur blood circulation bhi improve hota hai. Is mein potassium, magnesium aur manganese blood cells aur muscular activity ko achi tarah se control karte hai.

5. Haddi majboot kareBadam mein calcium aur protein hai saath saath fibre bhi jis se aap ke bones majboot rahenge lambi umar tak.

6. Baal ke liye uttamBadam ka telbaal aur tvacha ke liye uttam mana jata hai.Baal aur bhi ghane aur kale, mulayam ho jayenge agar aap in mein badam tel lagaye.Theek isi tarah tvacha par lagane se savlapan door hota hair aur tvacha hara bhara lagega.

7. Anti-inflammatory-soja door kareBadam ko roj khane sesoja door hota hai. Is mein linoleic aur linolenic acids hai jo inflammation kar deta hai. Sath mein blood pressure bhi regulate ho jata hai kyon ki badam mein hai bharpur potassium.

8. Garbhvati ke liye uttamGarbhvati stri kobadam khaana avashyak hai. Protein aur fat ke saath saath ismein folic acid hai jo ki hone wale bache ke growth mein helpful hai. Kitne khaane chahiye? Roj ka 25 se 50 gram badam khana uchit hai. Roj nahin to ek din chodkar khaaye.

No comments:

Post a Comment

Ladka ladki funny joke

लड़का (लड़की से) : तुम्हारी शर्ट फटी हुई है… लड़की : तुम नहीं समझोगे… ये आजकल का फैशन है… लड़का : क्या यार ! साला तुम फाड़ो तो फैशन और हम...