Saturday 19 March 2016

Haldi ke Fayde Jaaniye Aur Uske Laabh Uthaiye


#haldi ke upyog#haldi ke totke#haldi aur shahad ke faydeHaldiaushadh bhi hai aur khurak bhi. Isme poshan tatva shamil hai aur sabe important hai circumin jo anya prakar ke faayde deta hai. Aap winter mein freshturmericko slice karke khane ke saath le sakte hai ya to fir dried haldi powder ka upyog kare. Circumin teli padarth mein achchi tarah se ghul jaata hai isliyehaldi powder ko ghee ke saath milakar upyog karne se absorption behtar hota hai. Nimn likhit haldi ke upay jaroor aajmaye.

1. Chehre aur tvacha ke liye

1 chamach haldi doodh mein mila ke roj raat ko sevan kare.Haldi powder,besan powder, rice powder aur doodh ya dahi ka mishran karke chehre par lep kare jis se chehra nikharta hai.Haldi powder, multani mitti, shehad aur nimbu juice milakar oily chehre par lep kare. Muhase aur kale daagh mit jayenge.Haldi aur doodh chehre par mal ne se nikhar aata hai aur saath saath jhuriyan mit jayenge. Haldi powder, coconut oil aurshehad ka mishran chehre par lagenese pores khul jayenge aur tvacha ko oxygen milega. Tvacha rog mein haldi-ghee ka lep faydakarak hai.Scientific research batata hai ki roj haldi ka sevan karne se Alzheimer se aap bach sakte hai. Haldi aap ko cancer se surakshit rakhta hai.

2. Arthritis

Arthritis se pidit ho to roj haldi ka sevan kare. Ek chamachhaldi powderaur ek chamach ghee milakar mooh mein rakhe aur ras dheere se gale mein utare. Is se gala bhi saaf ho jayega. Inflammation ko circumin kam kar deta hai.Haldi aur sarso ka telmilakar garam kare aur dard jahan haiwahan maalish kare.

3. Depression

Agar aap depression, stress aur anxiety se pidit hai to roj rat ko haldi aur doodh ka sevan kare.Haldi ko shahad mein milakarchat sakte hai ya to ghee mein milakar le. Teli madhyam mein haldi ke labh badh jyata hai kyonki circumin tel mein ghul jata hai.Haldi doodh ke faayde bhi anek hai. Sharir mein se cough nikal deta hair aur khaansi mita deta hai. Dimag bhi tej ho jata hai kyonki haldi antioxidant hai.

4. Daanto ke liye

Daant mein sadan mitane ke liye roj namak aur haldi powder se brush kare. Haldi ko nariyal tel ya to phir sarso tel mein milake mooh mein achi tarah se ghumaye. Haldi se mooh mein bacteria mar jaate hai.

5. Pet ke liye

Irritable bowel syndrome, ulcers, Crohn’s disease. H. Pylori infection mein haldi aksir ilaj hai. Tel ya garam ghee mein milake 3 bar sevan kare. Liver tandurast rahega.


6. Aankho Ke Liye

Aankh ka tej badhane ke liyehaldi powderghee ya shahad mein milake roj chate. Haldi ke labh anek hai. Khurak ke uprant aap is aksir aushadh ko anek tarike se prayog karke apke swasthya ko banaye rakh sakte hai.

No comments:

Post a Comment

Ladka ladki funny joke

लड़का (लड़की से) : तुम्हारी शर्ट फटी हुई है… लड़की : तुम नहीं समझोगे… ये आजकल का फैशन है… लड़का : क्या यार ! साला तुम फाड़ो तो फैशन और हम...